Wednesday, October 19, 2011

Beti hai Vardaan bachalo....

Har bachchi he bhagwan; bachalo, beti he vardaan bahcalo,
Apni hi santaan bachalo; beti he vardaan bachalo~

kal tumhare aangan khelegi, dukh tum se sab le legi,
tumhara naam badhayegi, woh khoob naam kamayegi,
apna ye samman bachalo, Har bachchi he bhagwan bachalo
Apni hi santaan bachalo; beti he vardaan bachalo~

kal apne ghar fir jayegi, tab bhi beti kehlayegi
saaari rasm nibhaayegi, hanste dukh uthaayegi
sabse bada daan bachalo; Har bachchi he bhagwan bachalo
Apni hi santaan bachalo; beti he vardaan bachalo~

woh neta bankar ayegi, woh afsar bankar ayegi
asha ki jyot jalaayegi, wo andhere door bhagayegi
bharat bhavishya nirman bachalo; har bachchi he bhagwan bachalo
Apni hi santaan bachalo; beti he vardaan bachalo~ 



written and composed by: Abhi Tamrakar

Wednesday, September 7, 2011

Aaj fir~


aaj fir unki yaaad aayi hai 'Abhi'
aaj fir khamosh ronaa hoga~

mera dard jaan leti he woh
aaj fir be-dard hasnaa hoga~
 
mere ansuu dekhegi to royegi bahut
aaj fir pani-pani bhigonaa hoga~
 
sun leti he wo door se meri sanso ko
aaj fir dil ko khamosh rakhnaa hoga~

fir saawan se mulaqaat ho~


Barsat ki raat ho ; tum mere sath ho,
hathon me hath ho; fir sawan se mulaqaat ho~

sath chalne ki baat ho; kuchh machalne ki baat ho,
thoda hasne- rone ki baat ho: fir saawan se mulaqaat ho~

thodi madhoshi ki baat ho; thode hosh ki baat ho,
thoda milkar kho jane ki baat ho; fir saawan se mulaqaat ho~

thoda bheege jazbaat ho; thodi jhilmil karti raat ho,
uth uthkar jhuki palko ki baat ho; fir saawan se mulaqaat ho~


Barsat ki raat ho ; tum mere sath ho,
hathon me hath ho; fir sawan se mulaqaat ho~

Monday, October 4, 2010

kuchh bat to he patto se girte pani me~

aaj har hadd ko tod likh du me dil ki tamanna he yahi
ke unki char bate karne ka aji ye mauka fir kahan ayega

ye to malum he ki chahat bas jagiiiir unki nazaron ki he
hamare labzo ko bhi koi or rang ab kahan bhayega

eise to unke intezaar me guzar gaye he kitne din na jane
hame dillagi ke siva or koi kaam ab kahan nazar ayega

kuchh to baat he patto se taras kar girte pani me 'Abhi'
yun koi jaan hatheli pe rakhkar sirf mere mehboob ko dekhkar hi jayega ~~

jane kyun rut bachpan ki~

woh roz school jana
darwaze par akar chillana
mummy me to aa gaya
fir teri god me sir rakhkar
mera baith jana
teri mamta ha hath sir par padte hi
tere anchal ki chhaon me mera yuhi so jana
tera pyar se thapki dekar uthana
meri aankh me ye yaaden
aaj bhi aansu dekar jaatti he
dhoop me jab jalta hun kabhi
reh rehkar tere anchal ki chhaon yad aati he
yad aata he har bar tera dantna mujhe
jane kyu ruut bachpan ki itni jaldi chali jati he~jane kyun~

yunhi jab tanhai me~

yunhi jab tanhai me khuda se mulaqat hoti he 
dil e shabda nikalte he kisi shayari ki nayi barsaat hoti he,

likhte nahi ham kisi inaam ki chahat me-e-dost
dil he ek syaahi ka badal panne par to bas barsaat hoti he,

shayari kya he likhne kehene sunne ka naam nahi
haal-e-dil ki koi tabeer nahi dil se dil ki baat hoti he,

mujhe fark nahi padta pathathar bhi mare zamana agar
dil ki keheta hu "Abhi" or dil ki baat to khuda ki baat hoti he~

kai saal beete

ek tere sath mai bhool jata tha har gam apna
tujhe mujhse door huye kai saal beete


tum sochte hoge tumhare bin marne ka har wada jhuta tha 
or log kehete he mujhe bejaan huye kai saal beete


tumne meri gazal ko parayi mohabbat ki rawaanni samjha
log kehete he mujhe dil ki likhe kai saal beete


tumne bewafa kehkar mujhe sar-e-aam ruswa kiya "Abhi"
hame to dard se sagaai kiye kai saal beete