Sunday, December 21, 2008

koi mujhko yad karega kyun

bagon me foolon me bhavron ko dekha karte he
kaliyo ke deewane he sab bhavron ko poochhega kyun

shama or parwane ki kahani to sab kehete he
shama ke sab kayal he parwano ka dard dikhega kyu

tote or mena ki mohabbat ke kisse ab aam huye
mena ki boli bhati he tote ko naam koi lega kyun

wo karo jo sab karte he alag karne me kya rakha he
kal shabd mere feeke pad jayege to koi mujhko yad karega kyun
>>>abhi

In aadaaon ko hum teri palko ka ishara kehete he..

har raat chand ki oor nihara karte he,
hum chand nhai teri surat ko dekha karte he....

fooolon ko sehlate huye hole hole chalte he,
bahana he phool tere gaalon ko sehlaya karte he....

moorakh he sare jo subah or shaam bana diya,
in aadaaon ko hum teri palko ka ishara kehete he....

amawas aayi to kehete he chand chhup gaya kahi,
humse poochho hum ise teri julfo ka nazara kehete he....

fir aayi bahar roshan hua chaman or khil gayi kaliyan,
in baharon ko hum tere hotho ka ishara kehete he....
>>>abhi