Friday, April 18, 2008

mere pyar ko na samajh e sanam dikhawa

mere pyar ko na samajh e sanam dikhawa,
tu chahe to meri hasti mita de....
me ise apni kismat samajh luga,
chahe to mere sare arman jala de......
mujhe ikrar he tujhse mohabbat ka,
tu chahe to mujhe apne dil se hata de....
me tujhe yuhi door se dekhta rahuga,
tu chahe to kitne hi pehre laga de...
tu chahe to sanam mujhse nafrat bhi kar,
lekin yu dikhawa bol kar, mere pyar ko gali to na de.....

>>>>abhi

Tuesday, April 1, 2008

sachchai sirf parwano k pyar me hoti he>>>>>>

mujhse ummeed na rakho dil-nawaazi ki,
ki dil-nawaazi k liye ek kadardaan dil ki jaroorat hoti he,

mene bahut dhoke khaye he jindagi me yaaro,
ab to badi chot bhi nagawaar maloom hoti he,

rukh moda he yun meri dastaan ka kismat ne,
ki har kahaani mujhe afsaane si maloom hoti he,

chhod diya saath mera sabhi doston ne majhdhar me,
ab to tufani lehar bhi thehra pani maloom hoti he,

ishq karne wale mil jaege lakho tumhe is jahaan me,
par sachchai sirf parwano k pyar me maloom hoti he...