Wednesday, December 9, 2009

o sanam

o sanam ek bar chehra fir dikha de apna,
toot kar bikhar na jaye hum isi hasrat me kahin...


ek roz tera deedar pehli bar kiya tha maine,
husna ke paimane se koi jaam pehli bar piya tha maine,
tere labon se hokar beh rahi thi jo sanam,
us sharab se khud ko barbad kiya tha maine,

ab to aja ek bar fir jalwa dikha apna,
toot kar bikhar na jaye hum isi hasrat me kahin...


nazaron me ab bhi sanam tum hi basi ho,
har pal har ghadi tera ehsaas he mujhe,
bheeg raha hun aaj bhi tere ishq ki barsaton me,
dil ka har tukda yad karta he ab bhi tumhe,

ab to aja ek bar fir jawan ho ishq apna,
toot kar bikhar na jaye hum isi hasrat me kahin...


ab saanse jyada der nahi rukegi meri,
dhadkano ne bhi ab bagawat shuru kar di he,
tere aane ka eitbaar he mujhko sanam,
bas khuda ne waqt ki dor kas di he,

ab to aja ek bar fir se jee luga me,
toot kar bikhar na jaye hum isi hasrat me kahin...

jis par beeti tis hi jane

jis par beeti tis hi jane
kaise he lagte he pal begane
duniya adhoori chand adhoora
ankhon ka har khwab adhoora
samne rakha hota he pyala
fir bhi chhlakte nhai paimane

jis par beeti tis hi jane
kaise lage ye din tadpane

kaise raate bojh si ban gayi
simate rahe apne hi ansoo lekar
ankhon par palko ki chadar taane

jis par beeti tis hi jane
kyu sare apne lagte bemane

kyu chain se ek pal nhai sote
kya khote jo tujhko pa jate
apne toote sapne hathon par lekar
likhte rahe duniya ke fasane

jis par beeti tis hi jane
lagte he mujhko sab anjane

ye dil to bas tujhko pehchane
kaise tumhe batau bita rahe he
har saans zindagi ko bas chala rahe he
haste he lekin dil se pani kyu behta he
ye dard he kya ab khuda hi jane

jis par beeti tis hi jane~~~

mere daman me he lakhon kate

mere daman me he lakhon kaate,
mujhe foolo ki chubhan mat dena,

har dagar kanch se bhari he meri,
mujhe baharon ka anchal mat dena,

ansuo ki dosti hi bhai mujhe 'Abhi'
mujhe chand taaron ke sapne mat dena,

mene ummeed ka sath chhod diya tere bin,
mujhe ehm-o-wafaye mat dena,

me tujhse juda hokar bhi khush hu is kadar,
E- Rabb mujhe kisi ki duaye na dena~~~

jindagi bin GF

jindagi bin GF ke eisi hoti he,
jaise bin pani ki pani puri hoti he,
kahin mann nahi lagta kya kare zalim,
jise pakdo kisi ki mangtar to kisi ki gharwali hoti he,
jindagi bin GF ....

kabhi kabhi mere dil me khyal ata he,
ki ladkiyan kyun itni kismatwali hoti he,
ladko ki poketmoney ki pyasi hoti he,
gori ho ya ho kali sab BOY FRIEND wali hoti he,
jindagi bin GF....

jawaani ka boys ko chhune me der ho bhale,
ladkiyo ki bate yaron tab bhi matwali hoti he,
kabhi kisi dagar behek jaye kadam agar,
dosto bas isi dua se apni har diwali hoti he,
jindagi bin GF ....

samandar thak gaya to kya ~~

annsuo par baithkar mere koi yad chali aati he,
chupke se mujhe chhukar kuchh eisa keh jati he,
ki gujar jane do 'Abhi' jo gujarte he intezar me pal,
beet gayi ek jindagi to kya dil me tera naam ab bhi baaki he~~

palko pe yunhi sanjokar rakhe the kuchh sapne,
sapno ki gehraai se jude the kuchh pal apne,
reh jane do 'Abhi' reh gayi jo kasar tere pyar me,
beet gaye kuchh mukam to kya pyar ki jawaani ab bhi baaki he~~

paani tip tip karke girta he keh jata he kuchh kaan me,
wo baat kisi heere me kaha jo hoti he teri muskaan me,
chhoot jane do 'Abhi' chhoot gayi kuchh batein to kya,
fisal rahe he jindagi ki kaid se to kya aankhon me ek teri tasveer ab bhi baaki he~~

tere sath teri julfo ke saye me beeta he har pal,
tere ehsaas ke badal me saji meri har mehfil,
bichhad jane do 'Abhi' bichhadti he jo kadi koi,
samandar thak gaya to kya mere pyar ka dariya ab bhi baaki he~~

bas itna chahta hun

shayari

1. 'Abhi' kabhi yunhi jab tanhai me khuda se mulakaat hoti he,
dil se shabda nikalte he kisi shayari ki nayi barsaat hoti he~~

2. kehene ko to dil bejubaan seene me dhadakta he yaron,
'Abhi' shayar wo he jo mehfil me dil ko jubaan deta he~~~

3. mujhse duniya walon dikhave ki bat na karo,
'Abhi' ek adna sa banda hu khuda ka badappan ki bat na karo~~~

4. jo khata nazaro ne ki uthkar tumhe dekhkar,
e kash wahi khata tera dil bhi kare sanam,
ek dil seene me mere tere liye dhadakta he,
e kash wahi khata tera dil bhi kare sanam~~

5. dil me chhupa koi saaz ho,
kisi jindagi ki akhiri aas ho,
badaalo me chhupa hua chanda ,
or is dil ke liye jindagi ka fanda ho...sirf or sirf tum~~~