Sunday, October 14, 2007

shayaries

e chand nikal badal se
tujhe dhoond raha hoon mein
e chand nikal ghooghat utha
tujhe tak raha hoon mein
e chand eise na itra
tere liye tadap raha hoon mein
e chand nikal badal se.

bin taron ka gagan dekha he maine ,
bin pyar koi shayar nahi dekha..

ek lamha intazar ka kitna lamba hota he ,
ek lamha deedar ka kitna chhota hota he,
lamho me gujar jati he jindagi, lamho me hi to ye ehsaas hota he.

tanhai me beth kar yad jab unki aati he,
na bhook na neend na chain bas ek deedar ki pyas hoti he.

woh is kadar mere dil me base he,
kahi chain ab aata nahi, log kehte he me deewana ho gaya hu, par kisi deewane ko me janta hi nahi.

kuchh logo ko parichay ki jaroorat nahi hoti, paththar dharti ki aag me tapkarhi heera banta he, har heere ko tarashne ki jaroorat ni hoti.