Monday, October 4, 2010

kuchh bat to he patto se girte pani me~

aaj har hadd ko tod likh du me dil ki tamanna he yahi
ke unki char bate karne ka aji ye mauka fir kahan ayega

ye to malum he ki chahat bas jagiiiir unki nazaron ki he
hamare labzo ko bhi koi or rang ab kahan bhayega

eise to unke intezaar me guzar gaye he kitne din na jane
hame dillagi ke siva or koi kaam ab kahan nazar ayega

kuchh to baat he patto se taras kar girte pani me 'Abhi'
yun koi jaan hatheli pe rakhkar sirf mere mehboob ko dekhkar hi jayega ~~

jane kyun rut bachpan ki~

woh roz school jana
darwaze par akar chillana
mummy me to aa gaya
fir teri god me sir rakhkar
mera baith jana
teri mamta ha hath sir par padte hi
tere anchal ki chhaon me mera yuhi so jana
tera pyar se thapki dekar uthana
meri aankh me ye yaaden
aaj bhi aansu dekar jaatti he
dhoop me jab jalta hun kabhi
reh rehkar tere anchal ki chhaon yad aati he
yad aata he har bar tera dantna mujhe
jane kyu ruut bachpan ki itni jaldi chali jati he~jane kyun~

yunhi jab tanhai me~

yunhi jab tanhai me khuda se mulaqat hoti he 
dil e shabda nikalte he kisi shayari ki nayi barsaat hoti he,

likhte nahi ham kisi inaam ki chahat me-e-dost
dil he ek syaahi ka badal panne par to bas barsaat hoti he,

shayari kya he likhne kehene sunne ka naam nahi
haal-e-dil ki koi tabeer nahi dil se dil ki baat hoti he,

mujhe fark nahi padta pathathar bhi mare zamana agar
dil ki keheta hu "Abhi" or dil ki baat to khuda ki baat hoti he~

kai saal beete

ek tere sath mai bhool jata tha har gam apna
tujhe mujhse door huye kai saal beete


tum sochte hoge tumhare bin marne ka har wada jhuta tha 
or log kehete he mujhe bejaan huye kai saal beete


tumne meri gazal ko parayi mohabbat ki rawaanni samjha
log kehete he mujhe dil ki likhe kai saal beete


tumne bewafa kehkar mujhe sar-e-aam ruswa kiya "Abhi"
hame to dard se sagaai kiye kai saal beete  

ek boond pyar ko pyasa~

waise to ham sabhi ke sath kabhi kabhi eisa hota he ki likhte waqt ehsaas hi nahi hota ki kya likh gayeee..bad me malum hota he ki asmaan ko zameen pe lakar jaise kisi ek hi shabda ne patak diya hoo...karna to nahi chahta tha par mujhse bhi eisi galti ek do bar ho gayi..unhi me se ek aapke samne aaj pesh kar raha hun ...gustakhi maaf hooo...


yun to aaj bhi mehfil me mere nam ki shamma jalai jati he
or me ab bhi "Abhi" khud ko maa ki god me mehsoos karta hun..

manjile waise to mere kadam tak aate aate hosh kho deti he
or me ab bhi "Abhi" manjilo ko khone ke khyal se darta hun..

muhabbat mere dil ko hoti nahi kisise itna paththar ho gaya he kambakhta
or me ab bhi "Abhi" zaalim toot na jaye kahin is khyal se darta hun..

hain samandar or dariya meri shayari me samaye huye 
or me ab bhi "Abhi" ek boond pyaar ko pyasa bhatakta hun..

Bazm me shaamil sabhi BHANVARO'N or sabhi KALIYO'N ko "Abhi" ka adaab, namaskar, sat-sri-akal......


yaaron...husna walon par to hazar nagme, gazale or shayari bas unki tareef me hi likh diye gaye, tareef sachi bhi hui or jhutii bhi...gahe bagaaahe ham bhi usi laye me beh gaye or kuchh naye cheeze nikalkar saamne aayi..unhi me se ek aap sab ke saamne pesh hee..Alag bat ye he ki ye na to tareef he na dard ka fasana...
na poora sach hi hee na poora jhuutt..ummeed he achha lagega~




haseeno'n ke saamne to behek jati he khud sharab mere dost
bin deedaar behek gaya koi deewana nahi dekhaaaa


khuda bachaye in haseen sharo'n se nazar ke
bin toote reh gaya koi dil bechara nahi dekhaaaa


husna to adayen bikherta he ashiqo'n ko jalane ke liye
bin shamma jal gayaa koi parwanaa nahi dekhaaaa


yun to bin taron ka amber dekha he mene "Abhi"
bin pyaar ban gaya koi shayar nahi dekhaaaa


kahaniyan ishq ki kai huyi shuru or khatm huyi isi bazm me akar
bin kagaz ban gaya koi afsanaaa nahi dekhaaaa