Monday, October 4, 2010

Bazm me shaamil sabhi BHANVARO'N or sabhi KALIYO'N ko "Abhi" ka adaab, namaskar, sat-sri-akal......


yaaron...husna walon par to hazar nagme, gazale or shayari bas unki tareef me hi likh diye gaye, tareef sachi bhi hui or jhutii bhi...gahe bagaaahe ham bhi usi laye me beh gaye or kuchh naye cheeze nikalkar saamne aayi..unhi me se ek aap sab ke saamne pesh hee..Alag bat ye he ki ye na to tareef he na dard ka fasana...
na poora sach hi hee na poora jhuutt..ummeed he achha lagega~




haseeno'n ke saamne to behek jati he khud sharab mere dost
bin deedaar behek gaya koi deewana nahi dekhaaaa


khuda bachaye in haseen sharo'n se nazar ke
bin toote reh gaya koi dil bechara nahi dekhaaaa


husna to adayen bikherta he ashiqo'n ko jalane ke liye
bin shamma jal gayaa koi parwanaa nahi dekhaaaa


yun to bin taron ka amber dekha he mene "Abhi"
bin pyaar ban gaya koi shayar nahi dekhaaaa


kahaniyan ishq ki kai huyi shuru or khatm huyi isi bazm me akar
bin kagaz ban gaya koi afsanaaa nahi dekhaaaa

No comments: